1 Successful Person ki kahawat ha ke agar tum zindagi mein kamyabi haasil krna chahty ho to zyada se zyada mistakes kia karo aur phir un se seekha kro, isi tarha zindagi mein aagy barhty jao gy aur agar tum chahty ho ke tum boht jald kamyab ho jao to phir apni mistakes ko double kr do. Kuch log zindagi mein boht c mistakes karty hain lekin apni mistakes se anjaan rehty han aur dusron ki mistakes dhundny mein masroof rehty han. Lekin samajhdar log apni mistakes khud dhoond kr un se boht kuch seekh jaty han.
Kisi ne kya khoob kaha ha ke "Sb se bari galti apni galatiyon se be khabar rehna ha."
Kuch saal pehly ki bat ha ke 1 boht bary successful aadmi ka interview lia gya jis ne dunya mein boht naam kamaaya. Interview mein us aadmi se sawaal pucha gya ke apki kamyabi ke peechy akhir kya raaz ha. Us successful aadmi ne bary khush mizaaji se jawab dia "Sahi Decision". To us aadmi se pucha gya ke sahi decision kis tarha se kiye jaaty han to jawab mein us aadmi ne kaha ke sahi decision tajarby se kiye jaaty han. Jab dobara se us aadmi se sawal kia gya ke humain btaayn ke tajarba kese milta ha, to is bat pay us aadmi ne jawab dia galat faisly krny se tajarba haasil hota ha.
Zindagi mein successful hona chahty ho to 1 rule lazmi yad rakho ke jitni mehnat karo gy utni bari success mily gi. Aj mehnat karo gy to saari zindagi mazy se guzry gi aur agar aj mehnat nahi karty to phir saari zindagi mehnat karty raho gy.
1 successful wrestler se unki success ka raaz pucha gya to unho ne jawab mein sakht mehnat bola. Jab pucha gya ke sakht mehnat ka kya matlab, to phir unho ne jawab mein kaha k jb bhi ma ring mein practice kr rha hota hun to phir jb aakhir mein thak haar kr ma bs krny lagta hun to mujhe khyal aajata ha ke aakhir is waqt mera competitor kya kr rha ho ga, phir mujhe khyal aata ha ke wo abhi bhi practice he kr rha ho ga to phir ma apni bhi practice jari rakhta hun. Phir jb mjhe khyal aata ha ke mera competitor ab apni practice khatam kr ke ja chuka ho ga to phir bhi ma apni practice ko jari he rakhta hun.
Boht se logon mein nakami ki zyada tar wajha yahi hoti ha ke wo darty han ke kahin un se kuch galat na ho jaay jis wajha se log unhain bura kahyn. halaanke asal wajha ye ha ke kuch bara krny ke lye kuch galat karna he parta ha. Galati karo gy to seekho gy aur seekhny ke bad he kamyab shakhs bano gy.
Yad rakho, jab apko koi bura bhala kehta ha, yaa koi tanqeed krta ha to bilkul bhi dis-heart nahi hona. Apko koi kuch bhi kehta rahy lekin apko khud pay bharosa lazmi hona chahiye. Log baatein kr ke khamosh ho jaty han lekin ap apne qadam ko aagy barhaty raho.
Yad rakho, jab apko koi bura bhala kehta ha, yaa koi tanqeed krta ha to bilkul bhi dis-heart nahi hona. Apko koi kuch bhi kehta rahy lekin apko khud pay bharosa lazmi hona chahiye. Log baatein kr ke khamosh ho jaty han lekin ap apne qadam ko aagy barhaty raho.
Jab kabhi apko koi ye kahy ke ap bilkul sahi rasty pay ho, bilkul theek chal rahy ho to iska matlab ap us waqt galat rasty pay chal rahy ho. Jab apko ye sun'ny ko mily ke tum ye kya kr rahy ho, ye sb fazool kam han, ye sb tumhary bs ki bat nahi ha, chhor do ye sb krna, to is ka matlab tum us waqt bilkul sahi rasty pay ho.
Lehaza logon ko baatein krny do, ap ko nakami ke khof se bilkul bhi nahi darna chahiye, yad rakho ke wo shakhs kamyab nahi ho paata jis mein nakami ka khof kamyabi ki chahat se zyada ho.
0 Comments