Neend 1 aisi cheez ha jis ke aagy koi bhi jeet nahi sakta. chaahy wo koi baadsha ho yaa phir koi aam insan, chaahy koi student ho yaa phir koi business man. Neend ke aagy sabhi kamzor par jaaty han, specially wo log jo rat ko study krty han. Ap sabhi log koi School se, College se yaa Office se thak haar jaty hain aur phir rat ko 1 achi neend bhi chahiye hoti ha jo saary din ki thakawat ko door kr de aur sabhi log neend ki lazzat ka maza laazmi lete han. Lekin jab exams kareeb hoty hain to study ke lye time zyada dena parta ha jis ke lye raaton mein jaag kr parhna parta ha aur kuch logon ko apne offices ke lye kabhi koi project wagaira tyar karny hoty hain to rat ko neend ke time se kuch time nikaalna parta ha.
Study 1 aisi cheez ha k agar ap rat ke ilawa din mein bhi parhny bethty hain to kuch he dair mein study ke doraan neend aana shuru ho jati ha. Study ke doraan neend aana kese control kia jaay(How to avoid sleep while study or How to controll sleep during Work) yahan hum is baary mein discuss karyn gy. Rat ko to wese he neend ka time hota ha aur us waqt parhna bhi mushkil hota ha kyun k 1 saainsy tehqeeq ke according humari body ki work karny ki routine sunrise to sunset hoti ha. Sunset ke bad hum alert mind se koi bhi kaam achy se nahi kr sakty chaahy wo study ho yaa koi aur kaam.
8 Easy Ways to Study at Night without Sleeping
- Sb se pehly to apko 1 achi sleep leni chahiye chahy wo din mein ho yaa rat mein yaa late night se, lekin achi honi chahiye. Kuch log theek se neend puri nahi krty or phr din mein lazy rehty han or sham mein bhi idhar udhar gir rahy hoty hain aur jab ap neend achy se puri karyn gy to ap uthny ke bad dobara sonay tak active aur fresh rahyn gy. Achi neend 7 se 8 ghanty tk ki hoti ha.
- Iske bad break fast heavy kia karyn, lunch na honay ke barabar aur dinner light saa. Dinner zyada late nahi karna. 8 se 9 bajy tak dinner kr lia karyn. Dinner ke foran bad study start nahi karni kyun k us waqt blood presure low ho chuka hota ha aur humari body mein neend ka aana shuru ho jata ha aur us waqt ap study start krty ho to neend aur bhi zyada aana shuru ho jati ha. Lekin jb ap dinner ke bad thora waqfa de kr phr parhna start karty ho to phir ap khud ko active mehsoos karo gy.
- Hum jb koi bhi kaam karyn to uske lye humary pas strong motive hona boht zaruri ha. agar humara motive strong nahi ha to humary lye succesful hona boht mushkil ha. Har insan ki boht c khawahishat hoti hain jinko poora krny ke lye saari zindagi guzar jati ha. Lekin agar ap apni khwahishat ko apni zindgi ka 1 mazboot tareen maqsad bna lete han to ap zarur kamyaab hoty han. Sb se pehly to apki soch boht bari honi chahiye, matlab yeh ke apko sochna chahiye balke likh kr apne room mein laga lena chahiye ke 1 din mere pas bara bangla ho ga, mere pas qeemti gaadiyan hon gi, ma ne door door jaghon pay ghoom k aana ha, mere pas ye ho, mere pas wo ho, matlab jo jo bhi apki khwahishat han ap unko kisi aisi jagha pay likh lo jahan ap bethty ho yaa jahan par apki nazar parti raha kary. Jab apki nazar in cheezon pay para kary gi to apke andar 1 jazba peda hota rahy ga ke yaar ma ne apni study ko poora kar ke kuch ban'na ha aur apne maqaasid ko pura karna ha to phir ho ga kya? ho ga ye k apke andar neend ko door bhagaany ke lye apki will power barhti jaay gi aur study krty waqt apko neend bilkul bhi nahi aay gi.
- Rat ko jb ap parhny lagty ho to 1 cheez ka khyal rakhna boht zaruri ha. 1 to ap ne kabhi bhi apne bed pay leit kr nahi parhna aur apne sonay wali jagha pay beth kr parhny ka to bilkul bhi nahi sochna. Balke ap apne ghar mein apni study ke lye 1 proper jahan 1 Chair and Table ho aur ap us chair par beth kr parha karyn. Koshish karyn ke chair itni comfrtable na ho yaa phir us chair pay take lagaany ki jagha na ho warna ye bhi ho sakta hai ke parhty parthy ap ne peechy take lagai aur ap so gay. Yad rakhiye ke leitny wali jagha pay kabhi bhi nahi parhna, us se bilkul door rahiye kyun ke naturally bat ha ke jb hum bistar pay jaty hain to foran humain neend aana shuru ho jati ha.
- Dunya mein 2 tarha ke students hoty han, 1 wo jo bol bol kr loudly parhty han aur dusry wo jo chup chap dil mein parhty han. Jab bhi ap study krty han to koshish kia karyn ke aahista se na parha karyn balke loudly parha karyn. Loudly parhny se apko neend bhi nahi aay gi aur sath mein faaida ye ho ga ke loudly parhny se apko jaldi yaad ho ga. "1 Scientific research ke according jab hum loudly parhty han to humary kaan bhi sun'na shuru kr dete han jis se parha hua sb kuch humary dimaag mein jaldi store honay lagta ha." Lekin yahan bat aati ha fitrat ki, zaahir c bat ha k ap logon ne itna arsa study krny mein guzaar dia ha to ap mein boht se aisy students hon gy jo ooncha parhny ke aadi nahi han to aisy students study ke doraan mu mein bubble chabaaya karyn yaa phir bhunny chany pas rakh len aur parhty huy thory thory khaty raha karyn. Kyun k 1 American Institute ha jiska nam ha American Academy of Sleep Meditation, is institute ki apni ki gai research ha jis ke mutabik agar hum study ke doraan sleepy feel kar rahy han to humain chahiye ke sath mein koi activity lazmi rakhyn jese ke bubble wagaira chabaaty rehna, is tarha se ap sleepy feel nahi karo gy. Lekin ooncha parhny ki agar aadat daal lein to wo much better ha.
- Sb se important bat ye ha ke kuch student jab parhny bethty hain to apne table par 1 lamp chala lete hain aur room ki baaki saari lights off kr dete han. Aisy krny se room mein ird gird ka andhera humary andar neend ko peda karna shuru kr deta ha to is lye ap jis room mein parhty han to parhty waqt room mein zyada se zyada lights chala ke rakhyn taake room full roshan ho taake ap ko neend na aa saky.
- Iske bad next ye ha ke ap din mein paani zyada se zyada pea karyn. Kyun ke pani zyada peeny se body ko anergy milti ha aur agar ap pani theek se nahi peo gy to ap ki body lazy rahy gi jo ke study ke doraan neend aany ka sabab bany gi. Humain din mein 2 se 3 litre pani lazmi peena chahiye. Dusra ye k sugar ko kam se kam use kia karyn kyun ke is k zyada istemaal se bhi body mein susti peda hoti ha. Agar ap sugar kam se kam istemaal karyn to ap khud ko active feel karyn gy.
- 1 saainsy tehqeeq k mutabik jb ap parh rahy hoty ho to musalsal parhty rehny se apko kuch bhi yaad hona band ho jata ha aur apko boreat honay lagti ha jis se apko neend aana shuru ho jati ha, is lye scientist ka kehna ha k jb bhi ap study krty ho to study k doraan hr 40 se 45 mints bad 5 se 10 mint ka waqfa lazmi kia karyn. Ye jo gap ap den gy is mein ap kuch dry fruits wagaira kha len yaa thori walk kr lia karyn yaa kuch bhi aisa jis se apka dehaan kuch dair ke lye study se hutt jaaye, is se apko yad bhi acha ho ga aur apko boreat bhi nahi ho gi aur na he neend aay gi.
To ye sabhi tricks ap bhi aazma lijiye kyun k ye sabhi tricks aazmaay huy han aur mostly people yahi tricks apply krty han aur successful rehty han.
Read more:
0 Comments