How to Avoid Sleep While Studying | 5 Tips to Control Sleep while Studying in Urdu/Hindi | UTV Education


During the study, neend ka aana koi bari baat nahi hai. Balke ye 1 general bat ha jo ke sabhi mein equal paai jati ha. Study krna bhi boht zaruri ha but during the study sleeping problem humari study ke lye mushkil peda krta ha. Ab bat ye ha ke study ke doraan neend aati kyun ha, agar apko koi bolay ke chal yar kisi Mall mein ghoomny chalty hain yaa shoping wagaira ke lye kahin jaany ko kehty hain yaa phir koi Movie wagaira ke lye jaany ko kehty hain to us waqt agar apko neend aati bhi ho gi to neend foran bhaag jaay gi aur ap uth kar nikal paro gy ghoomny. Lekin agar ap bilkul fresh hain aur ap study ke lye bethy ho to kuch he dair mein apko neend aana shuru ho jati ha jese kitne dino se thaky huy ho aur soy nahi ho to yahan ye sawal uthty hain ke bhai akhir aisa kyun ha? Kyun aati ha study ke doraan itni neend? Kis tarha se hum activ ho kr alert mind se study karyn? How to avoid Sleep while Studying? How to study effectively? How to Study with Alert Mind?

To dosto yahan apko ma isi ke baary mein btany ja rha hun to ap aakhir tak dehaan se parhty rahiye taake koi bhi point miss na ho saky. Hum jb bhi koi kaam karyn to uske lye humary pas strong motive hona boht zaruri ha. Agar humara motive strong nahi ha to humary lye successful hona boht mushkil ha. Har insan ki boht khawahishat hoti hain jinko poora krny ke lye saari zindgi guzar jati ha, lekin agar ap apni khwahishat ko apni zindgi ka 1 mazboot tareen maqsad bna lete hain to ap zarur kamyaab hoty han.

Sb se pehly to apki soch boht bari honi chahiye, matlab yeh ke apko sochna chahiye balke likh kr apne room mein laga lena chahiye ke 1 din mere pas bara bangla ho ga, mere pas qeemti gaadiyan hon gi, ma ne door door jaghon pay ghoom kr aana ha, mere pas ye ho, mere pas wo ho, matlab jo jo bhi apki khwahishat han ap unko kisi aisi jagha pay likh lo jahan ap bethty ho yaa jahan par apki nazar parti raha kary. Jab apki nazar in cheezon pay para kary gi to apke andar 1 jazba peda hota rahy ga ke yaar ma ne apni study ko poora kar k kuch ban'na ha aur apne maqaasid ko pura karna ha to phir ho ga kya? Ho ga ye ke apke andar neend ko door bhagaany ke lye apki will power barhti jaay gi or study krty waqt apko neend bilkul bhi nahi aay gi.

5 Tips to Control Sleep While Studying
  1. Ap ne kabhi bhi apne bed pay beth kr nahi parhna aur apne sonay wali jagha pay beth kr parhny ka to bilkul bhi nahi sochna.
  2. Ap apne ghar mein apni study ke lye 1 proper jagha bnaayn jahan 1 Chair and Table ho aur ap us chair par beth kr parha karyn. Koshish karyn ke chair itni comfrtable na ho yaa phir us chair pay take lagaany ki jagha na ho warna ye bhi ho sakta hai ke parhty parthy ap ne peechy take lagai aur ap so gay.
  3. Yad rakhiye ke leitny wali jagha pay kabhi bhi nahi parhna, us se bilkul door rahiye kyun ke naturally bat ha ke jb hum bistar pay jaty hain to foran humain neend aana shuru ho jati ha.
  4. Jab bhi ap study krty han to koshish kia karyn ke aahista se na parha karyn balke loudly parha karyn. Loudly parhny se apko neend bhi nahi aay gi aur sath mein faaida ye ho ga ke loudly parhny se apko jaldi yaad ho ga. "1 Scientific research ke according jab hum loudly parhty han to humary kaan bhi sun'na shuru kr dete han jis se parha hua sb kuch humary dimaag mein jaldi store honay lagta ha."
  5. Sb se important bat ye ha ke kuch student jab parhny bethty hain to apne table par 1 lamp chala lete hain aur room ki baaki saari lights off kr dete han. Aisy krny se room mein ird gird ka andhera humary andar neend ko peda karna shuru kr deta ha to is lye ap jis room mein parhty han to parhty waqt room mein zyada se zyada lights chala ke rakhyn taake room full roshan ho taake ap ko neend na aa saky.
To dosto yad rakhiye ke kuch paany ke lye kuch khona boht zaruri ha. Agar to ap chahty han ke apka future acha ho to ap logon ko chahiye ke zyada se zyada mehnat karyn taake iska phal acha mil saky.

Post a Comment

0 Comments