Kisi kam ko karty waqt insan ko neend us waqt aati ha jb wo us kaam se bore hony lagta ha, matlab ye ke jb ap apne dil aur dimaag mein bina kisi maqsad ko apnaay koi kaam karo yaa study kro to ap ke pas koi bhi maqsad na honay ki wajha se apko boring honay lagy gi, matlab ye ke ap apne andar study ke shok ko peda karyn. Study ka shok tb he peda ho ga jb apke pas koi strong maqsad ho ga To bs ap ye yad rakhiye ke agar ap kamyaabi chahty han to apko abhi se boht mehnat karni pary gi aur agar ap abhi se mehnat nahi karty to phir ap ko saari zindgi he mehnat karni pary gi.
To dosto ma jb college mein tha to mere sath bhi aisa he hota tha ke jb bhi parhny betho to neend aajati, baaz okaat to parhty parhty book pay sar rakh ke so jaaya karta tha. Lekin jb hum iraada kr lete han to phir hr cheez manage karna seekh jaty han. To is mein pehly ap ye dekhiye ke ap rat ko soty kis waqt hain? Ma apko ye suggest karun ga ke ap rat ko 9 se 10 bajy tak so jaaya karyn aur study ke lye subha sawere 4 se 5 bajy tak uth kr study kia karyn. Ab iski wajha ye ha ke jb hum sara din kaam karty han yaa phr college, school wagaira mein time spend kr ke sham ko ghar aaty han to humara mind full ho chuka hota ha to shaam ke waqt ghar aa kr jb hum study krty hain to us waqt hum alert mind se nahi parh paaty.Jab hum subha jaldi uthty han to humara mind bilkul fresh hota ha aur humari memory refresh ho chuki hoti ha to us waqt hum koi bhi study krty han yaa koi aur kaam krty han to wo boht he perfectly tareeky se hota ha. Wese bhi subha sawere mein distraction free pur skoon mahol hota ha jis mein hum koi bhi kaam karyn gy to hmari poori tawajha us kaam pay rahy gi.
"Dunya mein jitne bhi kaamyab log hain wo subha sawere he uthty hain aur subbha uthny ke boht se faaidy hain." Agar apjaldi uthny ke benefits aur jaldi kese utha jaay dekhna chahty hain to phir ap neechy diye gay link pay click kr ke dekh sakty hain.
To dosto jb bhi ap parhny lagty ho to kuch cheezon ka khyal rakhna boht zaruri hai jo ke neechy bataya gya hai.
4 Tips to Control Sleep While Studying
- Ap jo kuch bhi yad kr rahy hoty han usko likh likh kr yad kia karyn. 1 bar nahi, 2 bar nahi, balke bar bar likha karyn, is se bhi 2 faaidy han. 1 to apko neend nahi aay gi aur dusra ye ke apko boht he achy se yaad ho ga aur kabhi bhooly ga bhi nahi. Kyun ke jab ap parhty ja rahy hoty han to 1 waqt aisa aata ha ke apka mind kahin aur he chala jata ha aur apka dehaan parhny pay nahi rehta. To jb ap thora thora parh kr usko likhty jaty han to apko theek se yad bhi hota ha aur neend bhi nhi aati.
- Humari study mein kuch subjects aasan hoty hain aur kuch boht he mushkil, to apko is bat ka khyal rakhna chahiye ke mushkil subject ko din mein he parha karyn aur jo subject apko easy lagty han unko rat mein parh lia karyn. Kyun ke mushkil subject ko yad karty karty ap bore honay lagty han aur apko neend aana shuru ho jati ha. Lehaza ap mushkil subject ko rat mein na parha karyn.
- 1 scientific research ke according jab ap parh rahy hoty ho to musalsal parhty rehny se apko kuch bhi yaad hona band ho jata ha aur apko boring feel honay lagti ha jis se apko neend aana shuru ho jati ha. Is lye scientist ka kehna ha ke jb bhi ap study krty ho to study ke doraan hr aadhy ghanty bad 5 se 10 minute ka waqfa dia karyn is se apko yad bhi acha ho ga aur apko boring feel bhi nahi ho gi aur na he neend aay gi.
- Boht se log aisy han jo rat ko peit bhar ke khana khaty hain balke us se bhi zyada khaty han jis se bethna tak mushkil ho jata ha. Jab hum zyada khana khaty han to humary jism mein susti peda hona shuru ho jati ha. Lehaza rat ke waqt boht km khana khana chahiye taake study ke doraan apko neend na aasaky.
0 Comments