Jis bandy ne BA / Associate Degree in Arts ki degree haasil kr li ha to smjh lo ke us ne boht bara maarka maar lia ha. Is degree ki boht zyada importance ha humary Pakistan ke andar. Jb ap is degree ko haasil kr lete hain to phir ap kisi bhi field mein apply kr sakty hain, yaani BA / Associate Degree in Arts ki degree 1 aisa turn point ha ke agar ap is turn point tk pohnch jaty hain to phir ap iske aagy kisi bhi rasty pay turn le sakty hain.
Ap sabhi janty hain ke BA aur BSc ka naam change kr ke Associate Degree in Arts and Associate Degree in Science rakha ja chuka ha. Ab wo ways kon konsy hain yaani ap BA / Associate Degree in Arts krny ke bad kya kya kr sakty hain wo hum yahan discuss kryn gy lekin us se pehly apko ye bta dia jaay ke agar ap BA / Associate Degree in Arts two year Private karty hain to phir apko ADP ki degree 2 saal ki de di jaay gi aur ap iske bad kisi bhi Master Degree mein apply kr sakty hain.
Iske ilawa agar ap ADP Regular base pay karty hain 2 saal mein to uske bad agar to ap chahyn to phir ap B.S 4 year ke lye 5th smester mein admission le sakty han. To chaliye ab ap neechy di gai list mein dekh sakty hain ke BA / BSc / Associate Degree in Arts and Science krny ke bad ap kya kya kuch kar sakty hain? Ap aagy kis degree mein admission le sakty hain yaa kis field mein job kr sakty hain.
You can do after BA / Associate Degree
- B.Ed (Bachelor of Education)
- M.Ed (Master of Education)
- MA English
- MA in Mass Communication
- MBA (Master in Business Administration)
- MSC (Master of Computer Science)
- Can Appear in All Competitive Exams (CSS)
- MA Pol. Science
- LLB 3 Years Program
Career and Jobs after BA / Associate Degree
- Political Scientist
- Social activist
- Psychologist
- Sociologist
- Economist
- Archaeologist
- Educationalist
- Philosopher
- Journalism
- Public Relation Executive
- Historian
- Personnel Manager
0 Comments